aakheer ladai ho hi gayi.

Thursday, May 21, 2009 at 6:54 AM
nazuk si kisi chij ko agar thes lag jaye to kya hoga?
saturday ko mene apni post me likha tha rajiv ke bare me..
rajiv aaj phir se mila.. utna hi dukhi tha jitna pehle tha.. uski dono talawaaren aapas me lad chuki t hi...aur myaan khud ghayal ho gaya..
sahi kehte he log.. ek saath do rathon par sawaar nahi ho sakte..
Monday, May 18, 2009 at 7:59 AM

કેવી રળીયામણી આ રાત છે.. એક તો તારાજળીત આકાશ અને એક તારો સાથ છે.

બગીચાનાં ફુલો પણ આજે કઇક વધારે મહેકી રહ્યા છે.

કે, આ માત્ર મારી કોરી કલ્પના છે કે, પછી તારા મિલનની સોગાત છે.

આખો દિવસ સાથે ને સાથે જ છીએ, પછી કેમ મધુર આ મુલાકાત લાગે છે ?

હજારો વાતો અને અનેક વિચારો સાથે કેમ, તારી આવવાની રાહ જોઉ છું.

કેમ તને મળતા જ બધા વિચારો બાષ્પીભવન થઇ જાય છે..? કેમ હજારો શબ્દો મૌનની ચાદર ઓઢી લે છે.?

કેમ તને મળતા જ, જુદા થઇ જવાની બીક લાગવા લાગે છે ?

કેમ ?

ek myaan me do talawaren

at 7:25 AM
kya yeh possible hey ki koi ek hi samay me do alag alag insaano se pyar kare?..
kya ek myaan me do talawaren nahi reh sakti ?
aaj yeh lagta hey ki kyun log dil ke hathon majabur ho kar ajib ajib decisions lete hey..
kyun humesha life hume do raahey par laa kar khada kar deti hey?..

rajiv vaise to kaafi sulaza hua ladka hey, par pata nahi aaj kyun, kuch khoya khoya lag raha hey, kuch to chal rahaa hey uski dimag me... mene jab tatolana chaha.. to upar ki jo lines mene likhi hey, usne muje batayi... me bhi soch me pad gayi, kya jawab dun... aaj se 3 saal pehle tak, richa uski jindagi thi,, samay bitataa gaya, richa apne kaam me vyast ho gayi.. jab bhi shadi ki baat aayi, richa taalati rahi.. aaj dono ka career hey,. dono vyast hey... dono ki soch alag hey, aur raastey bhi... divya rajiv ke sath hi kaam karti hey, dono se vichaar bhi miltey hey, aur jine ka najariyaa bhi.. divya ke prati rajiv ko soft corner hey, par soch raha hey, richa ka kya hoga..
do antimon ke bich voh jhul raha hye, richa atit hey, jo ek saaye ki tarah kahi naa kahi jiwan me chhayi hey, to divya vartmaan hey, aur shayad bhavishya bhi.. kiska saath de rajiv... voh muje puch raha hey,... divya se voh pyar karne laga hey,.. aur richa usse chhodana bhi nahi chahti,, nahi sath rehna chahti hey.. voh richa ko dhokha nahi dena chahta.. par uski apni khusi ka kya ?
ab batao.. kya kare Rajiv... kaha jaye voh.

Gusttakhee | Powered by Blogger | Entries (RSS) | Comments (RSS) | Designed by MB Web Design | XML Coded By Cahayabiru.com